Welcome to our online store

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Etiam id libero non erat fermentum varius eget at elit. Suspendisse vel mattis diam. Ut sed dui in lectus hendrerit interdum nec ac neque. Praesent a metus eget augue lacinia accumsan ullamcorper sit amet tellus. Duis cursus egestas hendrerit. Fusce luctus risus id elit malesuada ac sagittis magna tempus. Sed egestas fringilla turpis at ullamcorper. Pellentesque adipiscing ornare cursus.
Latest Products
ILME NAFE

ILME NAFE

"One of the supplications that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say was: 'Allahumma, inni a'udhu bika min 'ilmin la yanfa'u, wa mindu'a'in la yusma'u, wa min qalbin la yakhsha'u, wa min nafsin la tashba'u, O Allah, I seek refuge with You:
✔ From knowledge that is of no benefit,
✔ From a supplication that is not heard,
✔ From a heart that does not fear (You) and
✔ From a soul that is not satisfied.'"
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 250]
Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Duaon mein ye Dua bhi Shamil thi: "Aye ALLHA ! Main aap ki panah talab karta hun:
✔ Aise Ilm se jo faidah mand na ho,
✔ Aur aisi Dua se jo qubool na ho,
✔ Aur Aise Dil se jis mein (Allah ka) khof na ho,
✔ Aur Aise Nafs se jo kabhi sairab na ho."
[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 250]
" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ دُعَاءٍ لاَ يُسْمَعُ وَمَنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ "

View detail
SOCIAL MEDIA Khushgawar Izdwaji Zindagi ke liye Zahre Qatil

Serve ke mutabiq Social Media, Miya Biwi ke khushgawar Talluqat ko tezi se barbad kar raha hai, bilkhusus Nojawan jore is se shadeed Mutassir ho rahe hain, ghar baar, izdwaji zindagi aur bacchon ke liye Mukhtas waqt social media ki nazar ho raha hai jis se Nachaqiya duriyan janam le rahi hain, sab se khatarnak surate haal ye hai ke Aourton ke bhole pan, sadgi aur dusron par Etemad ki fitri kamzoriyon se faidah uthate hue bad'khaslat mard ▶ Social Media par shadi shudah Khawateen se dostiyan barha rahe hain ◀ in dostiyon ki ittela jab khawind ko milti hai to izdwaji talluqat mein dararen par jati hain, Neiz social Media par khawateen ki bahot si sargarmiyan Shoharon ke liye aur Shoharon ki bahot si sargarmiyan Biwiyon ke liye Napasandeedgi, Shak o Shubah aur badgumani paida karne ka zariya ban rahi hai.
●◗► Miya Biwi apne Shareek hayat ko Social Media istemal karne se isqadar tang aachuke hain ke Arab Roznama "Alwatan" ke mutabiq Arab ke ilaqe "Dammam" mein aik shadi ki taqreeb mun’aqid hui jis mein Dulhe ne Dulhan se shadi ke liye ye shart Aaid ki ke Dulhan shadi ke baad apni Niji zindagi aur Youmiya Mamulat se mutalliq chizen Social Media par share nahi karegi, ye bari Achanak, Gair Mutawaqe aur Ajeeb o Gareeb shart thi, taham Dulhan ne bhi fori tor par is pabandi ko tasleem karliya, Dulhe ne Nikah khua “Shaik Abdul Azeez Alqarni” se darkhuast ki ke is shart ko Nikah naame mein tahreer kiya jaye, Chunke dulhan ye shart qubool kar chuki thi lehaza Fariqeen ki razamandi se is shart ko Nikah Naame ka hissa banadiya gaya.

Meizbaan aur Mahman

Meizbaan aur Mahman

Narrated Abu Shuraih Al-Ka`bi RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, Whoever believes in ALLAH and the Last Day, should serve his guest generously. The guest's reward is: To provide him with a superior type of food for a night and a day and a guest is to be entertained with food for three days, and whatever is offered beyond that, is regarded as something given in charity. And it is not lawfulfor a guest to stay with his host for such a long period so as to put him in a critical position."
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 156, 6135]
✦Urdu Translation: Hazrat Abu Shuraih Al-Ka`bi RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jo shaks ALLAH aur Aakhirat ke din par Iman rakhta ho use chahiye ke wo apne Mahman ka Ikram kare, Mahman ki khususi ziyafat (khatir dari) Aik din aur aik raat tak hai, aur umumi Ziyafat teen din aur teen raaton tak, teen Din baad bhi (agar meizban bojh na samjhe aur) Mahman ki ziyafat kare to ye Sadaqah shumar hoga, Mahman ko chahiye ke wo apne Meizban ke paas itne din na tahre ke Meizban harj aur Tangi mein par jaye."
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6135]

Raston Mein Qazaye Hajat Ki Mumani’at

Raston Mein Qazaye Hajat Ki Mumani’at

The Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Be on your guard against two things which provoke cursing. They (the companions present there) said: Messenger of ALLAH , what are those things which provoke cursing? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Easing on the thoroughfares or under the shades (where they take shelter and rest).
[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 516, 641]
✦Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "La’nat (ka sabab banne) wale 2 Kamon se bacho." Sahaba RadiyAllahu Anhum ne pucha: Ya RasoolAllah! Wo 2 kaam konse hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:
❶ "Raaste o Guzar gaah mein Paishab Pakhana karna.
❷ (isi tarah) Saya daar Jagah mein Paishab Pakhana karna."
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 618]
●◗► Jidhar se log aate jate hon aur jahan log Baith kar Aaram kar lete ho Aise jagaho par Paishab Pakhana karne se mumani’at farmayi, in dono kamon se logon ko takleef hogi aur wo bura kahenge la’nat karenge.

Milad Un Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Manane ka Tariqa

Narrated Abu Qatada Ansari (ALLAH be pleased with him) reported that ALLAH's Massenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) was asked about fasting on Monday, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It was the day on which I was born. on which I was commissioned with prophethood or revelation was sent to me."
[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2603, 2804]
✦Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam se peer ke din Pabandi se Rozah rakhne se Mutalliq daryaft kiya gaya (ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Peer ke din Ehtemam se Roze kyun rakhte hain?) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ye wo din hai Jis mein meri Wiladat hui aur is mein Meri Bei’sat hui (Nabi hua) aur Mujh par Wahi nazil ki gayi."
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2747]
✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Peer (Monday) ke din Ehtemam se Roze rakhne ki aik Ahem waja ye bayan farmayi ke us din Meri Wiladate Ba Sa’adat hui aur usi din mujhe Sharfe Nubuwwat se Mashraf kiya gaya is liye Batore Shukrana main is din ka Rozah rakhta hun, Neez dusri Riwayat mein Peer o Jumerat ke roze ki aik aur Ahem waja RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye bayan farmayi ke Peer o Jumerat ko bandon ke Naame Aa’mal ALLAH Tala ke huzoor pesh kiye jate hain aur main chahta hun ke Jab mera Name Aa’mal Baargahe Khudawandi mein pesh ho to main roze se hun.
✿ Lehaza Ta’assub se balatar ho kar Insaf ki nazar se Dekhen ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni Wiladate Ba’saadat par khushi manane aur shukr baja lane ke liye saal mein sirf aik din yani 12/Rabi-ul-Awwal ka intekhab nahi farmaya Balke saal mein 52 Martaba peer (Monday) ke dinon ka intekhab farmaya aur khushi manane aur Shukr baja lane ka tariqa bhi logon ko Sawabdeed par (Naik salah dekar) nahi chora balke Rozah rakh kar Wiladate Ba Sa’adat par Shukr bajalaye, Lehaza ◗► "Wiladate ba Sa’adat par khushi ka izhar aur shukr baja lane ka durust tariqa ye hai ke Pure Saal peer ke din roze rakhne ka Ehtemam kiya jaye."

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Hukum Par Khajoor ka Khosha Qadmon mein Aagira

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: "A Bedouin came to the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: 'How shall I know that you are a Prophet?'
He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'If I were to call this date cluster from this palm tree, would you bear witness that I am the Messenger of ALLAH?'
So the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) called it and they started to fall from the tree, until they fell towards the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), then he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Go back,' and it went back. So the Bedouin accepted Islam."
[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3628]
●═════════════════◄►════════════════●
✦Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke: "Aik Dihati bargaahe Risalat mein Hazir hua aur Arz kiya mujhe ye kaise yaqeen ho ke Aap ALLAH ke Rasool hain?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke "Is khajoor ke darakht par jo khosha latak raha hai Agar main use apne paas bulaun (aur wo mere paas aajaye) to kya tum Gawahi doge ke main ALLAH ka Rasool hun?"
Chunanche Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Khajoor ke us Khosha ko bulaya to wo Foran hi darakht se utra aur Aap ke samne Aagira, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hukum diya ke “Wapas Ja”, to wo darakht mein apni jaga par dobarah pewast ho gaya, Ye Mujizah dekh kar wo Dihati shaks Musalman ho gaya."
[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1560]

Gunahgaron aur Siyahkaron ke liye Masjide Nabwi Mein Tasalli ka Saman

●◗► Masjide Nabwi mein 'Riyadhul Jannah' ke samne Fane Khattati ke is Shah pare ko dekh kar ham Gunahgaron ki Dharas (tasalli) ban jati hai aur Ummid paida ho jati hai ke Roze Mehshar Aaqaye Madina Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shifa’at se ham Gunahgaron ka kaam ban jayega. (IN SHA ALLAH)
Fane Khattati mein Likhe hue Darj bala Irshade Nabwi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Tarjuma ye hai: "Meri Shifa’at meri Ummat ke Kabirah Gunah karne walon ke liye hai." [Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1313]
The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "My intercession will be for those of my people who have committed major sins." [Sunan Abi Dawud :: Book 41 :: Hadith 4721, 4739]

Mahfil Wagerah Mein Baith kar Mobile Mein Mashguliyat

It was narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that : The Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) took a ring and put it on, then he said: "This distracted me from you all day, shifting my gaze from it to you (and back again)." Then he threw it away.
[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5291, 5289]
✦Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik Anghothi banwayi aur use pehna, aur phir Farmaya: "Is Anghothi ne Aaj se meri tawajje tumhari taraf se Baant di hai, Aik Nazar ise dekhta hun aur aik Nazar tumhen, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wo Anghothi utardi."
[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Hadith 1590]
●◗► Majlis ke Aadab mein se hai ke Insan Shurka Majlis aur Mehmano ko chhor kar kisi aur cheez mein Mashgool na ho, Aaj kal log Mahfil mein Shurka ko chhor kar dair tak Mobile Phone aur Social Media mein Mashgool rahte hain, aisa karna Khilafe Adab hai.

Kainat Mein Nabi Akram ﷺ Jaisa koi Nahi!

ALLAH's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do you consider or see that my face is towards the Qibla? By ALLAH, neither your submissiveness nor your bowing is hidden from me, surely I see you from my back."
[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 410]
✦Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kya tum samajhte ho ke Mera muh idhar (Qiblah ki taraf) hai, Khuda ki Qasam tumhara Ruku aur Tumhara Khushu mujh se kuch chupa hua nahi hai, Bila shubah main Tumhen apni Pusht ki janib se bhi dekhta hun."
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 418]
●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Khudawande Quddus ne ye Mujizah ata farmaya tha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni Pusht ki janib se bhi waise hi dekh lete the jaise samne ki janib se, Baaz Shurahe Hadees is Mujize ko sirf Namaz ki halat ke sath Makhsoos mante hain.

NIKAH AUR WALIMA - EK TAFSEELI WA TEHQEEQI NAZAR

ɴıкʌн ʌυʀ ωʌʟıмʌ - єк тʌғsєєʟı ωʌ тєнqєєqı ɴʌzʌʀ ραɢєs Full
___________________________________________________
вısмıʟʟʌнıʀʀʌнмʌɴıʀʀʌнєєм

QURAN: YA AIYUHALLAZEENA AMANUTTAQULLAHA WAQOOLU QAULAN SADEEDA. YUS LIHLAKUM AMALUKUM WAYAGHFIRLAKUM ZUNUBAKUM WAMAIYUTEEILLAHA WA RASOLLAHU FAQAD FAZA FAUZAN AZEEMA. (Ch:33 V:70&71)
QURAN MAFHOOM: Aey logo apne RAB se daro, jisne tumhe ek jaan se paida kiya aur isi jaan se iska jora banaya aur in dono se bahut se mard aur aurte phailayi, is ALLAH se daro jiska wasta dekar tum ek dusre se apna haq mante ho aur rishtadari ke ta’alluqat ko bigarne se bacho, beshak ALLAH tum par nigrani kar raha hai. (Ch:4 V:1)
HADEES: ALNIKAH MIN SUNNATI.
(Nikah karna Sunnat hai)
HADEES: A’ALANU HAZANNIKAH WAJA’LOOHU FIL MASAJID.
(Nikah ka Aelan karo aur Masjid mein Aehtimam karo)
Ye Muharram ka mahina chal raha hai isliye Shiyat se mutassir kuch Musalman bhi is mahine ko manhoos manne lage hain aur wo Muharramul Haram ke muqaddas mahine mein shadi karne ko ya to ghalat mante hain ya phir manhoos mante hain jiski Shariyat mein koi haqeeqat nahi hai, sirf ek qwaqiya ki wajah se kisi mahine ko manhoos nahi kaha ja sakta hai agar kisi ka aqeeda hai ki ye mahina manhoos hai karbala ki wajah se Hadhrat Hussain R.A. ki wa unke ahle ayal ki shahadat ki wajah se to phir Ramzan ka mahina isse zyada manhoos mana jayega kyunki Islam ki pahli jung isi mein lari gayi aur 14 Sahabi R.A.A. Shaheed hue jinhe Afzalushuhada kaha jata hai, phir iske bad Uhud ki jung mein Hadhrat Hamza R.A. Shaheed hue to Shawwal aur bhi manhoos hona chahiye lekin is mahine mein to log khoob ji bhar ke shadi karte hain, iske bad “SABSE BARI DALEEL JO KAR DEGI SHIO KO ZALEEL” IN SHA ALLAH… Rabiul Awwal, Nabi E Akhir, Muhammad Mustafa Ahmad Mujtaba SAWW ki wafat to Rabiul Awwal mein hui to ek Sache aur Pakke Musalman ke liye sabse zyada ghum ka mahina aur sabse zyada manhoos aur nahes mahina Rabiul Awwal hona chahiye phir iske bad jise samajh aye mane, lekin Rabiul Awwal ka to logo ko intizar rehta hai ki Rabiul Awwal aye to shadi ki jaye, ajeeb doghlapan hai Nana ki wafat ke mahine ko ji bhar kar jashn gaje baje se barato ka nikalna aur Nawase ki shahadat ke mahine ko manhoos kahna.
Mere dosto azizo Ye SHIYAT hai jisne Muharram ke pakbaz Muqaddas wa Hurmat wale mahine ko manhoos qarar de diya kyunki unka to hara mal aur hark am he manhoos hai to phir manhooso ko har cheez manhoos he dikhegi… Meri tamam musalmano se ghuzarish hai ki is toham parasti ke shikar na ho Muharramul Haram ke mahine mein shadiya bhi kare aur shariyat mein jo kuch bataya gaya hai wo sab kuch kare, ALLAH ke banaye sare mahine paak wa saf hain aur kisi bhi kam karne ke liye kharab nahi. Aur Muharram ke mahine mein Beshumar Sahaba wa Sahabiyat ke Nikah ho chuke hain isliye jo shakhs DEEN Sahaba R.A.A. se lega wahi Jannat ka haqdar hoga warna Jahannam mein to bare bare KALB jayenge…

Is Muqaddas Muharram ke mahien ke bad Safar ka mahina ayega phir Rabiul Awwal ka mahina ayega aur iske bad phir 4 mahine aise hain jinme ummat-e-muslima mein kaseer tadad mein Nikah hote hain isiliye is waqt is mauzu par chand batein ki ja rahi hain dua kare ki ALLAH amal ki taufeeq ata farmaye aur hone wale tamam Nikah Sunnat ke mutabiq hone lage…
Ye ek bahut wasi mauzu hai bat ka aur sabse pehle ye samjh lena chahiye ki akhir ye Nikah darasal hai kya. Nikah DEEN-E-ISLAM mein sirf ek rasm-o-riwaj nahi hai balki hamare liye ye ek Ibadat hai, Neki ke husool ka zariya hai, Iman ki takmeel ka ba’ais hai aur Nabi SAWW ki sunnat hai. Ye ibadat isliye hai ki iski talqeen ki gayi hai, ye neiki ke husool ka zariya isliye ki ise sadaqa qarar diya gaya hai, shauhar aur biwi jab jayez tareeqe aur jayez tarah se apni khwahisho ki takmeel karte hain to Hadees mein aya hai ki ye bhi Sadaqa hai, ajro sawab ka zariya hai, aur ye sunnat isliye hai ki isko Nabi SAWW ne khud bhi farmaya hai.
Kal jo tareeka Nikah ka Muhammad-e-Arabi SAWW ne humein bataya tha aaj is western, modern, ghaleez aur gande mahaul mein wo kahin kho sa gaya hai, har kisi ko ye to yad rehta hai ki ye sunnat hai aur isse iman mukammal hota hai lekin ye kisi ko yad nahi ki is sunnat ka tareeka kya hai, Iman ko mukammal kis tarz par kiya jaye aur kis tarah kiya jaye. Nabi SAWW ne ye bataya ki Nikah ibadat bhi hai, Nikah neiki ke husool ka zariya bhi hai aur Iman ki takmeel ka zariya bhi hai, 3 - 3 cheeze ek sath sirf ek amal mein, ek sunnat ko pura karne par hai aur har shadi karne wale musalman ko milti hai lihaza ye koi choti bat ya chota amal to hua nahi, ALLAH aur Uske Habib Muhammad Arabi SAWW ne har ahkam aur sunnat ko ada karne ka tareeka bhi bataya aur uske liye kuch hidayat bhi di hain, lekin aaj hamare maashre ki badqismati ye hai ki is sunnat par amal karna to sabhi ko yad raha lekin jis tarah Nikah karne ko aur uska tareeka Nabi SAWW ne bataya tha wo yad nahi raha. Aaj Nikah aur shadi ke nam par jo rasoomat ma’ashre mein rayej hain wo har tarah se gandigi, gunaho aur ghalazat ko dawat dene wali hain.

NIKAH SE MUTALLIQ CHAND HIDAYAT JO NABI SAWW NE BATAYI…
1. DEENDARI KO TARJEEH: Nabi SAWW ki ek hadees hai “Tunkahul Mar atu liarbain limaliha, wali jamaliha, wali hasabiha, wali deeniha, fazfar bizatiddeen taribat yadak”. Iska mafhoom hai ki log jab rishta lagane ki sochte hain to khoobsurti ko dekhte hain, hasab aur nasab ko dekhte hain, maal dekhte hain aur phir seerat, kirdar deendari dekhte hain lekin tum seerat, kirdar aur DEENDARI ko tarjeeh dena. Ye jo last mein “FAZFAR BIZATIDDEEN” alfaz aya hai iske yahi mayene hai ki tum DEEN ko tarjeeh dena. Aam taur par dekha jata hai ki sabse pehle log khoobsurti ko tarjeeh dete hain, phir khandan ko aur phir paise ko agar dekha jaye to ye teeno cheeze Abu Laheb mein bhi maujood thi, behad khoobsurat, uncha khandan aur maal bhi tha lekin ALLAH ne quran mein baddua kar di aur iske liye farma diya “TABBAT YADA ABI LAHBIYUN WATABB”, iske barakas dekhe Hadhrat Bilal R.A. na khoobsurat hain, na maal hai aur na he uncha khandan lekin ALLAH ke nazdeeq maqam kya hai RADHIALLAHU ANHU, ki sari ummat inke nam ke agey RADHIALLAHU ANHU lagati hai ki ALLAH unse razi ho gaye.
Ye ALLAH ne criteria taiyyar kiya hai ki uske nazdeeq sirf Taqwe wale ko uncha maqam milta hai, na he mal wale ko, na khoobsoorat ko aur na he unche khandan wale ko. ALLAH ne Quran mein farmaya ki “Tum me se sabse barh kar izzat wala wo hai jo sabse barhkar ALLAH ka taqwa ikhtiyar kare. Nabi SAWW jo khutba Nikah ke waqt parha karte they usme 4 maqamat par taqwe ka zikr aya karta tha isliye Nabi SAWW ne hidayat di ki tum DEENDARI ko har cheez par tarjeeh diya karo, aur riwayat mein hai ki agar acha DEENDAR, SEERAT aur KIRDAR ka rishta mil jaye aur tum usse inkar kar do to zameen mein fasad paida ho jata hai.
Iska agla hissa agli post mein kiya jayega INSHAALLAH.

2. IKHRAJAT: Shadi mein apne ikhrajat kam se kam rakhne chahiye, Hadees mein ata hai ki sabse barkat wala nikah wo hai jisme ikhrajat sabse kam hon. Darasal aajkal hota ye hai ki log shadi mein apni haisiyat se zyada karch karne ki koshsih karte hain aur udhar lekar karte bhi hain. jab udhar lekar shadi mein apni haisiyat se zyada kharcha kar diya jata hai to phir udhar ko wapas karne ka number ata hai, idhar shadi ke bad already ikhrajat badh jate hain aur upar se shadi ke dino mein liya gaya udhar bhi sar par sawar rehta hai jisse tamam tarah ki takleefe, pareshaniya, ghussa aur tension hoti hai, aaj aap dekh lijiye barkate kahtm ho gayi hain, idhar shadi hui nahi ki kabhi miyan biwi mein larayi, kabhi saas aur bahu ka jhagra, kabhi nand aur bhawaj ka jhagra ye aam si batein ho gayi hai aur iski wajah sirf ikhrajat ko asman tak pahunchana hai, kahin 5 sal ka mansooba, kahin 3 sal ka mansooba, kahin kuch to kahin kuch ek ajeeb sa bojh hai maashre par jo dikhayi nahi deta, lekin sirf uska reaction in tamam cheezo ke zariye nazar ata hai. isiliye Nabi SAWW ne apni mubarak ahadees mein kam ikhrajat wale nikah ko barkat wala nikah bataya hai.
Aaj humein bhi chahiye ki shadiyon mein apne ikhrajat ko control mein laye aur apni haisiyat ke mutabiq kharch kare lekin haisiyat ka matlab ye nahi ki israf shuru ho jaye. Kuch logo ke zehen mein ye bat ati hai ki bhai mere pas paisa hai main kharch karu kisi ka kya jata hai ya kharch kar diya to kaun sa gunah kar diya to INSHAALLAH ispar agey ane wale paragraphs mein bahens hogi aur jawab diya jayega.

3. AELAN AUR AHTIMAM: Nikah ka ahtimam masjid mein kiya jaye aur iska aelan kiya jaye. Hadees mein aya hai “Aelanu Hazannikah Waja’aloohu fil Masajid”, mafhoom ye hai ki Nikah ka Aelan karo aur uska Masjid mein ahtimam karo. Iska matlab ye nahi ki Nikah sirf masjid mein he ho sakta hai aur kahin nahi, balki Nabi SAWW ki hadees ka matlab ye hai ki behtar ye hai ki masjid mein kiya jaye kyunki masjid ka mahaul barkat aur rehmat wala hota hai baki agar koi, kahin aur kisi jagah bhi karta hai to bhi Nikah ho jayega. Aaj hum isaiyo ko kuch bhi kah le lekin ye dekhiye ki wo batil par hote huey bhi apni shadiya hamesha Girjaghar (Church) mein he karte hain lekin hamare yahan kuch log ye bhi kah dete hain ki Masjid mein kar ke sabko dikha rahe hain to bhai ye recommendation hain, Nabi SAWW ka suggestion hai unki nazar mein pasandeeda hai, agar koi karta hai to bht achi bat hai. Masjid mein Nikah hone ke kayi fayede bhi hote hain ek to masjid ka mahaul he bht rehmat wala hota hai, har koi paak saf ba wuzu hota hai, agar kisi Namaz ke bad rakha jaye to aur behtar hai, naye jore ko ache khase log duaye bhi dete hain. 
------------------------------------------------------------
4. HAQ-E-MEHER: Meher, ye Dulha ka farz aur dulhan ka haq hai, aur haisiyat ke mutabiq ho jo ba-asani ada ho sake aur jald ada karne ki koshish honi chahiye, behtar to ye hai ki cash mein ho lekin agar udhar bhi hai to bhi use behadd jaldi ada karna chahiye. Ye karz hota hai Dulha par, ALLAH ke Nabi SAWW ki ek hadees ka mafhoom hai ki “Jisne kamobesh kuch meher tay kiya ho aur uski ada karne ki niyat na ho to wo qayamat ke din ALLAH ke nazdeeq ek ZANI ki haisyat se pesh hoga”. Aap khud sochiye ki kitni sakht waeed hai is meher ko lekar lekin aaj to ek riwaj chal gaya hai maaf karane ka, dulhan ki razamandi aur uski khushi se mafi ki gunjaish to hai lekin use ada kar dena he behtar hai. Jabran maafi to hai he nahi ki hum apne zor par meher maaf karwa le agar koi aisa karega to kal ALLAH ke huzoor usko jawab dena parega.
Ye Meher hai kya, aksar ye bat zehen mein ati hogi to main ise clear kar deta hun ek misal se ki jis tarah hum koi cheez kharidne ka irada karte hain to uske liye pehle kuch peshgi deni parti hai ki samne wale ko ye itminan ho jaye ki haan iske pas paisa hai aur ye agey chalkar isko khareed lega. Isi tarah meher ka matlab biwi ki kifalat ki jo aap zimmedari le rahe hain uski peshgi raqam hai ye ki main iski zindigi bhar kifalat karunga. (Bs ye misal sirf samjhane bataur di gayi hai iska reality se koi lena nahi hai kyun ki kuch logo ke zehen mein ye baten ati rehti hain isliye maine ye missal di hai, ummeed hai kisi ko buri nahi lagi hogi). Ek aur zaroori bat ye hai ki iske tay karane mein bahut zyada dikkate pesh ane lagi hain larki wale chahte hain ki ye zyada se zyada ho aur larke wale chahte hain ki kam se kam ho, dono fariqain ko motadil mizaj hokar is masle par bat karni chahiye ki na larke wale ko zyada lage aur na he larki walo ko kam lage, ab aisa bhi nahi hona chahiye ki larke ki income 7000 hai aur uski meher 50,000 ya 60,000 tay kar di jaye ya aisa bhi na ho ki 100 ya 200 tay ho jaye isko baht he saleeke se aur bahut he pyar aur muhabbat ke sath tay kar lena chahiye. Tay karte waqt kisi kaghaz par likh liya jaye aur dono fariqain ke dastakhat kara liye jaye taki age koi dikkat na ho, warna Aise kayi waqiyat sunne mein aaye hain ki aen barat wale din Meher ko lekar kuch bat hui aur bat itni barh gayi ki Dulha barat lekar wapas chala gaya, to aisa bhi nahi hona chahiye.

5. WALIMA KI DAWAT: Walima dulha ki janib se hota hai, ye ek dawat hoti hai jisme chand logo ko bulakar khana khilaya jata hai aur ye bhi haisiyat ke mutabiq he hona chahiye naki sirf dikhawe aur showoff ke liye ki “Kamayi chand kaudiyo ki aur walima thath bath wala” aur shadi ke bad phir dikkat aur pareshaniyo ka nuzool. Walima se mutalliq beshumar hadeese hain aur Nabi SAWW aur Sahaba R.A.A. ki zindigiya dekhi ja sakti hai ki wo apne Walime ki dawat kis tarah aur kis andaz mein diya karte they aur kis tarah dawat ka aehtimam kiya karte they. Aap SAWW ka nikah aise bhi hua ki aap safar par they aur wahan Nikah hua to Sahaba R.A.A. kuch khane pine ka saman lekar aaye, sabne mil baith kar khaya piya aur bs ho gaya walima. Kuch Sahaba ke barein mein aise bhi aya hai ki Namaz ke bad khare huey aur kaha Ya Rasoolullah (SAWW) mera Nikah ho gaya hai. Nabi SAWW ne farmaya “Mubarak ho”.
Aaj ek trend nikla hai ki bahut unchi shakhsiyat se Nikah parhwana hai Hadhrat Abdul Rahman Bin Aauf R.A. ki mulaqat Nabi SAWW se hui to unke kurte par salan ke kuch dagh they to aap Rasollullah SAWW ne poocha ki Ibne Aauf ye kya hai, to Hadhrat Abdul Rahman Bin Aauf R.A. ne kaha ki Huzoor SAWW mera Nikah ho gaya hai, Nabi SAWW ne farmaya MUBARAK HO. Ab ye sochiye ki wo Nabi SAWW ko bata rahe hain ki mera Nikah ho gaya hai, Rasool SAWW ki zindigi mein unse unchi sakhsiyat kaun ho sakta hai bhala? lekin iska matlab ye hua ki Abdul Rahman bin Aauf R.A. ne apne Nikah ka khutba kisi aur se parhwaya, Nabi SAWW ne ye bhi nahi kaha ki mujhe kyun nahi bulaya, ya kisi Sahaba ne bhi nahi kaha ki arey tum to bare chupe rustam nikle, jhoothe munh he pooch lete, khilana na pare isliye bulaya he nahi lekin nahi wo jante they ki Nikah kya hai aur iska aehtimam kis tarah hona chahiye, aur ise kis tarah anjam dena chahiye. Aaj hum apne aapko dekhe agar hamara qareebi dost humein shadi mein na bulaye to shayed hum usse zindigi mein kabhi bat he na kare, usse qata talluq kar le. Ye sare issue they he nahi Nabi SAWW aur Sahaba R.A.A. ke daur mein ek Sahabi aaye bole Nabi SAWW mera Nikah ho gaya hai aur walima karna hai, Nabi SAWW ne Sahaba se kaha jao apne apne ghar se salan ya jo kuch bhi ho le aao aur apne bhai ka walima kar lo, sab le aye khane pine ka saman aur ek sath baith kar khana hua aur ho gaya walima. Kabhi aisa bhi hua Ammi Zainab R.A. ne Huzoor SAWW ka Nikah hua, ek bakri thi Huzoor SAWW ne use zibah karwaya aur uska salan taiyyar hua aur wahi dawat ho gayi. Ye asal Walima ki dawat jo humein Nabi SAWW ki seerat aur Sabaha R.A.A. ki zindigyo se milti hai.

QURAN: YA AIYUHALLAZEENA AMANUTTAQULLAHA HAQQA TUKATIHI WALA TAMOOTUNNA ILLA WANTUM MUSLIMOON.
6. TAQWA: Taqwa nam hai apne aapko ALLAH ki nafarmani se bachane ka, aur us ehsas ka jo bat apne apni zuban se boli hai agey chalkar us bat se kabhi aapko sharmindigi na uthani par jaye, kabhi us bat se kisi ko takleef na pahunch jaye, ye yad rahe ki jo kuch bhi hum apni zaban se kah rahe hain uska jawab ALLAH ke yahan dena hoga ki har waqt 2 farishte jo aapke nigehban hain apke tamam aqwal ko naqal karte rehte hain, aap acha bologe to acha likhenge aur bura bologe to bura likhenge, phir yahi as it is batein ALLAH ke huzoor pesh ki jayengi, Quran mein bhi ALLAH ne farma diya FAMAIYAMAL MISQALA ZARRATIN KHAIRAINYYARAH WAMAIYYAMAL MISQALA ZARRATIN SHARRAIYYARAH, “Jis kisi ne ek zarra barabar achayi ki hogi wo ise dekh lega aur jis kisi ne ek zarrar barabar burayi ki hogi wo ise dekh lega”. Ek Bar Nabi SAWW ne farmaya “ATTAQWAHA HUNA, ATTAQWAHA HUNA, ATTAQWAHA HUNA, Taqwa dil mein is ehsas ka nam hai ki kahin mere kisi qaul, mere kisi fail se mera ALLAH mujhse naraz na ho jaye. Hadhrat Umar R.A. se kisi ne pucha ki taqwa kya hai to Hadhrat Umar R.A. ne kaha ki jab tum kisi jangal mein jangli jhariyo mein se ghuzarte ho to jis tarah apne kapro ko bachate huey ghuzarte ho us tarah tum sari zindigi ALLAH ki nafarmaniyo se bachte huey ghuzarte raho yahi taqwa hai. Kuch log taqwe ki tareef ALLAH se khauf karte hain lekin Taqwe ki asal tareef Parhezgari hai yani Gunaho se bachna hai, matlab jin baton se ALLAH ne mana kiya hai unse ruk jao aur jo kaha karne ko wo karte jao…
Ye chand moti moti 6 batein hain jo humein Nabi SAWW ki seerat aur Sahaba R.A.A. ki zindigyo mein milti hai ye ki jab rishta lagane ki soche to DEENDARI, SEERAT aur KIRDAR ko tarjeeh do, Ikhrajat ko kam se kam rakho, Nikah ka Aeylan aur Ahtimam masjid mein karo, Meher ki adayegi jald se jald karo aur Walime ki dawat haisiyat ke mutabiq karo. In tamam baton ka jo khayal rakhega IN SHA ALLAH SUMMA IN SHA ALLAH uski zindigi ki gari ALLAH har mushkil se ba-asani ghuzar denge. 

DAURE HAZIR KI SHADIYO MEIN GHALAT TAKREEBAT, RUSUMAT AUR YAHOOD O NASARA KE TARZ AEHTIMAM...
Ek Ajeeb bojh sa hai is ma’ashere par ki DEEN ek, Islam ek, Quran ek, Nabi SAWW ek lekin shadi se pehle aur bad ki taqreebat har jagah alag alag, aisa kyun? Aaj humne Nikah ko itna mushkil bana diya hai ki shadi karne se pehle har kisi ke zehen mein uska kharch pehle he aa jata hai, ki fala jagah itna paisa lagega, fala jagah itna paisa lagega, aur fala jagah itna paisa. Kuch gao aur dehat to aise aise hain ki jahan shadi ki taqreebat ek ek mahina chalti hain, aur har din khawateen alag rang ke kapre pehenti hain, kisi din orange colour ke, kisi din green colour ke, kisi din yellow aur kisi din red colour ke. Kuch gao aur dehat aise hain jahan par choti mangni, bari mangni aur darmiyani mangni ke nam par rituals ijad ho chuki hai, choti aur bari to suni thi ab ye ek nayi cheez aayi hai darmiyani mangni. Khair gao dehat ki chhoriye shehro mein bare bure halat hain, shadi se pehle 4 se 5 din to reeti riwajo ki wo dhoom hoti hai ki lagta he nahi ki kisi Muhammad-e-Arabi SAWW ke ummati ki shadi hai.
Barr-e-Sagheer Pak-o-Hind mein to achi khasi rusumat kuffar ki li hui hain jinka Islam se koi wasta he nahi hai. Barre sagheer Hind, Pak wa Bangladesh mein to ajeeb ajeeb tarah se shadiya hoti hain, kuch aisi shadiya hain jahan par Barat baqayeda Band Baje ke sath jati hai, jisme mard wa aurate makhloot hokar nachte koorte hain, kuch shadiya aisi hoti hai ki us ghar mein alag dholak na baje aur nach gane na ho to jaise inke bina shadi he mumkin nahi, abhi haal he mein hamare ghar ke paros mein 2 3 shadiya hui, ek sahib ne apni barat mein wo gana bajwaya hai ki bs ALLAH ki panah, abhi ek aur shadi DG laga aur rat bhar mohalle ke logo ki ninde haram karte rahe, ek aur shadi mein dekha ki barat se ek din pahle wo udham, wo gana, wo naach ki rooh kanp gayi dekh kar aur dil pareshan ho gaya ki ALLAH jo bari shan se nikla tha watan (Arab) se, pardes mein aaj wo ghareebul ghuraba ho chuka hai… Jahan logo ko ye tak nahi pata ki Nabi SAWW MAUSEEQI yani gana baja wa iske alat ko mitane ke liye aye the…

RASMEIN DEEN NAHI HOTI AUR DEEN MEIN KOI BHI RASM NAHI HAI…
MAANJHA: Ye rasm shadi se 2 din pehle hoti hai aur iska koi suboot pure quran mein aur tamam zakheera-e-hadees mein nahi milega, lekin aaj bila tafreeke mazhab ye tamam fikro maktab ke pairokaro ke gharo mein hoti hai, isme uptan lagaya jata hai ladki aur larke ke uske bad usi uptan se khela jata hai sari rat bs yahi urham machaya jata hai, ye rasm hinduo se aayi hai unke yahan shadiyo mein ise baqayeda ek rasm ke taur par mana jata hai aur iska karna zaroori hota hai.
RATJAGA: Ye bhi ek rasm hai Barat ke jane se ek din pehle, isme tamam gharwale aur aye huey mehman ratbhar jagte hain, ratbhar siwaye gane bajane ke aur kuch nahi hota hai sari rat hasi thahake aur tafreeh aur mazak ka mahaul rehta hai, is rasm ka suboot bhi kahin bhi na Quran mein milta hai aur na he hadees-e-Mubarika mein. Aur sabse ajeeb bat ye hai ki kahin kahin kisi kisi ghar mein to ratbhar gulgule pakte hain. Aaj daure hazir ke musalmano ke zehno mein jashn manane ka sabse barhiya tareeka jo naksh hai wo ye hai 2 3 bare bare speaker laye jaye aur jam kar sara sara din aur sari sari rat shaitan ka sath nibhaya jaye. Rat rat bhar bs speaker bja karte hain aur usme larkiya aur kahin kahin sath mein larke bhi nacha karte hain. 

BARAAT: Aaj kal jis tarah se pura lao lashkar le jakar larki ke ghar walo par ek bojh dala jata hai iska suboot kahin kisi Quran ki ayet se nahi hai aur na he Nabi SAWW ki kisi Hadees-e-Mubarika se. phir bhi aaj Barat ke bina shayd he koi shadi hoti ho, ek to larki wale Dahej de aur phir unke ghar jakar pura khandan aur dost aur ahbab milkar khana khaye, aaj kal to bari zabardasti hone lagi hai ki Larki wale agar 150 admi kahte hain to Larke wale 200 to le kar jate he hain unhe isse koi matlab nahi ki jisne 150 admi ka intizam kiya hoga agar wahan 200 admi pahunch gaye to unka kya hoga, aur ye sareehan haram hai ki agar larki walo ne 150 admi kahe aur larke wale 200 le gaye to jo 50 admi zayed barat mein jayenge aur jo kuch khayenge wo sab ka sab Haram mein dakhil hoga.
Lekin agar larki wale bina kisi pareshani ke aur apni khushi se Larke ki taraf se kuch logo ko bula kar khana khilaye ya nashta karaye to isme koi muzayeqa nahi hai. Bs larki walo par kisi bhi tarah ki koi bhi zor wa zabardasti ya hathdharmi jaisi koi bat nahi honi chahiye ki wo majboor hokar sara intizam kare aur apne rishte natedaro se udhar leta phire aur uske bad taqade wale sare aam uski izzat ko sare bazar uchale. Aur larki ke walidain ko bhi chahiye hai wo bhi thora khud ko mazboot banaye aur ALLAH par bharosa ki agar wo Deendari ko tarjeeh denge to IN SHA ALLAH unka sara intizam ALLAH ke hath hoga aur ALLAH unki betiyo ki shadi karayega apne khazan e ghaib se... 

QURAN: KULU WASHRABU WALA TUSRIFU, INNAHU LA YUHIBBUL MUSRIFEEN (CH:7 V:31)
MAFHOOM: KHAO AUR PIYO AUR ISRAF MAT KARO, ALLAH ISRAF KARNE WALO KO PASAND NAHI KARTA.
KHANE KA INTIZAM AUR TAREEKA: Khana aur intizam baithne ka sara ka sara kafiro ke mushabe hai, Khane mein buffey system chal gaya hai aisa lagta hai ghore astabal mein ghas kha rahe hain, koi idhar khare hokar kha raha hai to udhar khare hokar, koi adha baitha hai to koi pura baitha hai, sare tareeke se khana kha lenge lekin sunnat tareeka apnane mein apni shan ko kam samjha jata hai. Ab to yahan tak ho gaya hai ki 2 table laga di jati hai taki insan baith kar kha le aur sare janwar khare hokar he khaye, jis tarah se wo khane aur pine mein janwar bane hain un kuffar ki dekha dekhi humne bhi bilkul janwaro wale tarz ikhtiyar kar liye hain. Jab ki agar dekha jaye to baith kar khana har lihaz se behtar hai. Khane mein itne item rakh diye jate hain ki admi wahan tak pahunch nahi pata aur uska pet bhar jata hai, ek walima mein main gaya kafi paise wale they wo janab wahan par 6 tarah se sirf murgha bana tha, 2 tarah ki biryani, 3 tarah ki roti aur baki to aap log andaza laga he sakte hain ki kya alam hoga khane ka, itna israf tha us walime ki dawat mein ki dil mein ajeeb si kudhan ho rahi thi. bar bar zehen mein yahi jata hai ki akhir itna paisa lagane ki kya zaroorat hai, itna israf kar ke kya hasil hoga jabki ye sabhi jante hain ki JAYEZ KHARCH KIYA TO HISAB DENA HAI AUR NAJAYEZ KARCH KIYA TO SAZA JHELNI HAI dono he tarah se hum musalmano ko samjhaya gaya hai ki israf ki Islam mein qatayi ijazat nahi hai, aur yahan to logo ne intiha aur hade par kar rakhi hain, yahi wo log hain jinke israf ki wajah hamari beshumar behne aaj gharo par baithi hui hain.

DAHEJ – : Ye ek aisi lalach hai jiski wajah se aaj lakho karoro larkiyan bina shadi ke ghar baithi hui hain, kyunki unke pas apne ghaleez aur lalchi shauhar ko dene ke liye paisa nahi hai, yahi wo lanat hai jiski wajah se aaj na-jane kitne ghar barbad ho chuke hain. na jane kitni larkiyan ghar baithi hui hain, kisi ko car chahiye to kisi ko bike, koi ye mangta phir ta hai to koi wo mangta phirta hai, ajeeb bikhari bane huey hain sab. Mere walid ke dost ki 4 betiyan thi unhone 3 betiyo ki shadiya ki aur unhone 3 betiyo ki shadiyo mein kul 5,00,000 rupaye kharch hua kyunki ye 30 sal purani bat hai akhiri beti ki shadi ke liye paise ka intizam karne mein unhe heart attack hua aur khatam ho gaye, Ab har larka ye soche ki agar us baap ki jagah hamare apne baap hote to hum par kya ghuzarti, jab hamari bahen ghar par baithi hoti to hum par kya ghuzarti, jaye aur jakar pooche un walidain se, aur un bhaiyo se jinke pas dene ke liye paisa nahi hai islye unki bachchiya aaj bhi achi khasi umar ke bad bhi ghar par baithi hui hain, kya hum se roz-e-qayamat iska sawal nahi hoga, ki ek shakhs apni ek beti ki shadi mein 5 - 5 lakh rupaye kharch kar raha hai aur kahin 25 se 50 hazar ka intizam nahi ho pa raha hai ki unki betiyo ki shadi ho sake. Kya humme ghairat bachi hai? kya humme islamiyat bachi hai? kya hum me zarra barabar bhi ALLAH aur uske Nabi SAWW se aur unke tareeke se muhabbat bachi hai? aaj humein wo hadeese yad he nahi jo ek Musalman bhai ke huqooq batati hain, aaj humein hadeese yaad he nahi jo Parosiyo ke huqooq batati hain. Aaj hum itne behiss ho chuke hain ki hum sab kuch jante hain lekin us par amal nahi karte.
Isme ek pahlu aur bhi hai jisko waze kar dena bahut zaroori hai, choonki hum log kuffar ke sath rehte hain hind mein isliye hum mein bhi wo ghalat rusumat aa gayi hain jo kuffar ki thi, ye dahej choonki ghair muslims mein bahut zyada chalta hai wajahn larke bikte hain yani larki wale cash paisa dete hain aur larka khareedte hain isliye ghair muslims mein larkiyo ko bahut zyada kharab mana jata hai aur wo jis ghar mein paida hoti hai usi din se bap ko tension ho jati hai ki 5 lakh ya 10 lakh rupaye kahan se ayenge, us par larke wale bhi bare ghuroor aur takabbur ke sath dahej ki demand karte hain ki ki humein 5 lakh ya 10 lakh rupya chahiye jaisi jiski hasiyat hoti hai demand karta hai aur larki wale jinki hasiyat hoti hai dekar larka khareed lete hain yahi kuch aaj Muslim muashra mein bhi aam hoti ja rahi hai ki larke bik rahe hain aur larki wale khareed rahe hain choonki hum musalman hai aur humein apne tamam kamo ko us tarah karna chahiye jaise Nabi SAWW ne kiya aur Sahaba R.A.A. ne kiya… 

DAHEJ KI DEMAND HARAM HAI AGAR WALIDAIN APNI MARZI SE KUCH DEN TO USE LENE MEIN YA DENE KOI HARJ NAHI…
Islam mein dahej ki DEMAND khwah wo Paisa ho, gari ho, bangla, flat ho, ghar ke istemal ki koi cheez ho khwah ek SUI he kyun na ho bilkul haram hai lekin agar larki ke walidain apni khushi se jitni unki hasiyat hai wo apni larki ko koi saman ya zarooriyat e zindigi ki cheeze dena chahe to usme koi harj nahi aur ise lene mein bhi koi harj nahi kyunki larki ke walidain ke kuch khwab hote hain ki wo bhi apni bachi ko kuch den to Islam mein apni khushi se larki ko kuch dene ki manahi nahi hai bs numoodo numaish na ho aur demand na ho, chahe wo directly ya indirectly kisi bhi tarah se to phir wo cheez dena aur lena dono haram mein dakhil honge. Agar larka chahe to mana bhi kar sakta hai ki humein iski zaroorat nahi bs aap larki ko he wida kar de khwah wo 1 jore mein he kyun na ho, ab is muamle mein kuch log jazbati ho jate hain aur larki ke walidain ke liye unki bachi ko kuch bhi dena haram kah dete hain jabki larke wale ne mana bhi kiya ho, ye ghalat hain unhe apni beti ko jo chahe hadiya ya tohfa ya zarooriyat e zindigi ka saman dene ki ijazat hai aur ye kahin bhi mana nahi hai…
Is par daleel maujood hai jab Nabi SAWW ne Hadhrat Fatima R.A. ka Nikah Hadhrat Ali R.A. se kiya to Nabi SAWW ne Hadhrat Ali R.A. ko zarooriyat e zindigi ki kuch cheeze di thi jo us waqt zaroori thi aur use Hadhrat Ali R.A. ne qubool bhi kiya tha…
Ab jo log is cheez ko bhi haram kah dete hain ki Larki ke walidain ka koi gift ya tohfa wa tahayef ya zarooriyat e zindigi ki cheeze lena haram hai to kya wo Nabi SAWW, Hadhrat Ali R.A. wa Hadhrat Fatima R.A. se zyada deen jante hain? Agar ye cheez haram hoti to Hadhrat Ali R.A. kabhi bhi ise qubool he nahi karte, usse barhkar Nabi SAWW khud he kabhi kuch nahi dete… balki Nabi SAWW ne jis tarah Hadhrat Ali R.A. ki jirah ko bikwa kar Meher dilwaya tha usi tarah ye cheeze bhi dilwa sakte the…

QURAN MAFHOOM: Khao piyo lekin Israf na karo.
Acha kuch logo ke zehen mein ek sawal ye bhi ata hoga ki janab hamare pas paisa hai humne kharch kar diya to kya gunah kiya. Mera un pyare bhaiyo se kcuh sawalo ke jawab chahunga agar ye jawab mil chuke hain to phir aapko ikhtiyar hai ki aap apne paiso ko jaise chahe waise kharch kare…
1. Aap kabhi kisi hospital ke bahar se ghuzre honge wahan par kuch ghareeb log apne lawaqeen ke ilaj ke liye doctors se iltija kar rahe honge ki mere pas paisa nahi hai ALLAH ke waste hamare bache ko ya bachi ko (ya kisi ko bhi) bacha lijiye. Agar is sawal ka jawab mil chuka hai to beshak aap apna paisa jaise chahe waise kharch kare.
2. Aapne aksar dekha hoga ki medical stores ke bahar line lagi hogi aur kuch logo ke pas dawa khareedne ke paisa nahi hote hain. Agar is sawal ka jawab mil chuka hai to beshak aapko ikhtiyar hai ki aap jis tarah chahe paisa kharch kare.
3. Aap kabhi raste se ghuzre honge aur apne dekha hoga ki kuch bache Koore (dustbin) mein se kuch uthakar kha rahe hote hain. agar iska jawab aapko mil gaya hai to phir aap beshak apne paise ko kahin bhi karch kar sakte hain.
4. Aaj Duniya ke aise aise ilaqe aur aise aise log maujood hain jahan par Islam ka namonishan nahi hai, agar un sabhi tak dawat pahunch chuki hai to phir aap apne paise ko apni marzi ke mutabiq kharch kar sakte hain.
5. Aapne dekha hoga aaj bhi Ulema sarko par ek thela aur speaker lekar masjid aur madarse ke chande ke liye nikalte hain kyun ki unke pas paisa nahi hai ki wo madarse aur masjid ko banwa sake. Masjido aur Madarse ke kharch ki zimmedari awaam ki hai, Agar is sawal ka jawab mila chuka hai to phir aap beshak jaise chahe waise kharch kare apna paisa.
6. Aap jante honge ki is sari duniya mein 256 mulk hain aur kahin par bhi shariyat nahi hai aur na he Islam ghalib hai, batil taqat ikatha kar raha hai Islam ko mitane ki aur hum uski madad kar rahe hain fizooliyat aur israf kar ke. Agar puri duniya par Khilafat ka nizam qayem ho gaya hai to beshak aap apni marzi se apne paise kharch kar sakte hain.
7. Agar Iraq, Syria, Palestine, Chechaniya, Bosnia, Kashmir, Gujrat, Burma, Asaam, Mali, Afghanistanm ke hamare Musalman achi zindigi ghuzarne lage hain, jaise hum ghuzar rahe hain to phir aap apne paise ko jaise chahe waise kharch kare.
8. Apne dekha hoga ki masjido mein aksar kuch log apni betiyo ki shadi ke liye iltija karte hain Namaz bad, agar is sawal ka jawab mil chukka hai aur is tarah ke iltijae hona masjido se band ho gayi hain to beshak aap aapna paisa jaise chahe waise sarf kar sakte hain.
9. Agar Jazeeratul Arab Kafiro ke napak aur najis jismo se pak ho chuka hai yani tamam kafir hudood Jazeeratul Arab se nikal diye gaye hain jaise Nabi SAWW ne farmaya jiska mafhoom hai "Tamam yahoodiyo (Kafiro) ko Jazeeratul arab se nikal do"... To phir apko haq hai ki aap apne paise ko jaise chahe kharch kare...
Agar in tamam sawalo ke jawab mil gaye hai to beshak apna paisa kharch kare jaise marzi ho waise, lekin agar in sabka jawab nahi mila hai to phir apko koi haq nahi ki aap ALLAH ki di hui daulat ka ghalat istemal kare aur use fizooliyat mein bahaye, Nabi SAWW ki ek hadees ka mafhoom ki “wo shakhs momin nahi, ki wo khud pet bhar kar so jaye aur uska parosi bhooka rah jaye”. Kaise gawara karta hai humara dil ki hum fizool karch kare aur hamara he ek bhai, hamare he walidain jaise kisi ke walidain sirf isliye apne bache aur bachiyo ki shadi nahi karwa sakte ki unke pas paisa nahi hai. mere azeezo DEEN to asani paida karne ke liye aya tha naki mushkilat.
Agar kisi ko koi bat buri lagi ho to main dil ki gehraiyo se mafi mangta hun lekin jo kuch aaj ho raha hai wo waqayi ek zulm aur sitam hai Islam par.

SHADI SHUDA ZINDIGIYON MEIN AKHLAQ KI AHEMIYAT…
HADIS MAFHOOM: SABSE ZYADA KAMIL IMAN WALE WO HAIN JINKE AKHLAQ ACHE HAIN, AUR WO APNE GHARWALO KE SATH NARMI SE PESH ATEY HAIN. (TIRMIZI)
Ek ALLAH ki ibadat hai jinhe hum Huqooqullah kahte hain aur ek bando ke sath muamlat kare to wo bhi ibadat banti hai jise Huqooqul-Ibad kahte hain aur is Huqooqul Ibad ko ada karne mein aur pura karne mein sabse ahem kirdar Insan ke akhlaq ka hota hai. Ek Bar Nabi SAWW ne farmaya ki Akhalq ki 360 qisme hain, jis kisi ko bhi iski ek bhi qism mil jaye ya uske andar aa jaye to jannat mein jayega, to Hadhrat Abu Bakr R.A. Aap SAWW ke pas baithe they, Hadhrat Abu Bakr R.A. ne pucha Ya Rasoolullah (SAWW) mere andar kitni hain, to Aap SAWW ne farmaya, ALLAH ne tumahre andar sari ki sari maujood ki hain. Akhlaq ko takmeel tak Haya pahunchati hai. jiske andar haya nahi, sharm nahi uske andar ache akhlaq nahi.
Zindigi ache akhlaq se ghuzarti hai, na maal se, na gariyo se, na heere zawarat se, na bangley se na bank balance se ye sari cheeze bhi ahemiyat rakhti hai lekin ye cheeze hasbe zaroorat hon to bhi koi fark nahi parta lekin agar larke ya larki ka bol meetha na ho, uske akhlaq ache na ho to ye malo-daulat, gari-bangle, heere-zawaharat aur bank balance ghar mein sukoon nahi la sakte, zindigi usi ki behtar ghuzarti hai jiske akhlaq ache aur a’ala qism ke ho, use zabt karna ata ho, use sehna ata ho, use maaf karna aur darghuzar karna ata ho, use choti choti baton par wa-waaila se bachna ata ho, ek dusre ki ghalti ko darghuzar karna aur achayi ko bayan karna ata ho. Har khushi har gham mein ek dusre ka sath na chhorna ata ho, ek dusre ki izzat karna ata ho.

Aajkal jab ghar mein bahu ati hai to usse ek din ke ulat pher mein itna kuch expect kar liya jata hai ki wo jaise koi robot ho ki shadi se pehle programming alag thi aur shadi ke bad uski programming alag kar di gayi, mere azeezo ek larki tumhare ek ijabo qubool par apna sab kuch chhor kar ati hai, apne maa-baap, apne bhai-bahen, apna ghar, apne rishtedar, uske liye sasural mein sab kuch naya hota hai, har kisi ko samjhna, shauhar ka nature kaisa hai, saas ka nature kaisa hai, susar ka nature kaisa hai, devaro aur devaraniyo ka nature kaisa hai ye sab kuch samjhne mein aur sab kuch adjust karne mein waqt lagta hai lekin hum ye sochte hain ki wo hamare ghar aayi to use ab ekdum se change ho jana chahiye, mere bhaiyo abhi use apni maa ki yaad ayegi, abhi use apne walid ki yaad ayegi, apne bhaiyo aur behno ki yaad ayegi usne 20 se 25 sal apne ghar mein apne logo ke sath ghuzare hain jahan par mahol alag qism ka tha wo sabko samjhti thi aur yahan par alag qism ka mahol hai abhi samjhne mein waqt lagega. Use thora waqt do bs ate he shuru na ho jao ki aise na raho, waise na raho, ye na karo wo na karo, iski aisi khidmat karo uski waisi khidmat karo aur phir agar usse kuch ghalti ho jaye to uski baton ko, uski ghaltiyo ko sare aam sabse bayan karte phiro, kahi rishtedaro se, kahin paros mein kahin dosto mein.
Apne bacho ki zindigiya kuch walidain khud ujarte hain, shauhar ki ma kahti hai bahu ko mutthi mein rakha kar, udhar larki ki maa kehti hai apne shauhar ko qabu mein rakhna seekh, idhar se bhi kan bhare jate hain, udhar se bhi kan bhare jate hain, shadi se pehle walidain ko khabar bhi nahi hoti ki mera larka kahan baitha hai, kahan gaya hai, lekin shadi ke bad agar wo apni biwi ke pas baith gaya to phir tanz chalte hain uske upar, Maa kahti hai, “Ab har waqt joru ke gote se he bandha rehta hai”, Baap kahega “Paal pos kar itna bara kar diya aur ab jakar bahu se chipka hua hai” behne kahengi ye lo bhabhi kya aa gyi hamari to qadr he nahi koi, koi poochta bhi nahi hai, bhai kuch kahenge aur koi kuch kahta hai koi kuch. ALLAH ke waste in tamam baton se aur cheezo se upar uth kar sochna seekho, Ache akhlaq pesh karo, Larke ko chahiye hai ki har kisi ke huqqoq achi tarah se ada kare, walidain ko thora sabr se kam lena chahiye, bhai aur behno ko bhi sabr se kam lena chahiye.

Har Maa chahti ki meri beti apne sasural mein khush rahe to phir wo kisi aur ki beti ko wo khushi kyun nahi deti, kyun use ek beti ki tarah nahi samjhti, apni beti ki ghaltiya chupati hai aur bahu ki ghaltiya sare jahan mein batati hai, ye maao ki ghalat soch ka natija hai, ye DEEN se khali hone ki alamat hai, ye ache akhlaq na hone ki alamat hai. Aur zyadatar jagah mazloom larki ya aurat he hoti hai kayi jagah mard aur sase zulm aur sitam ke pahar tor deti hai, jo bilawajah bahu ko satati hain, choti choti baton par datna, unhe zaleel karna aur unhe nicha dikhana. Kabhi ye kahna ki fridge nahi di, kabhi ye kahna ki cooler nahi diya, kabhi ye kahna ki fala cheez nahi di, kabhi ye kahna ki fala cheez nahi di, aur sabse badtar batein ye hoti hai jo bahu ke zehen mein baith jati hain wo ye ki “tere maa baap ne kuch diya bhi” “Tere amma abba ne kuch sikhaya bhi” is tarah ke saikro jumle aise hote hain jo ek larki ko teer ki tarah lagte hain, ye bhi sach hai Har jagah Shauhar aur saas ki bhi ghalti nahi hoti hai, kahin kahin bahu bhi zimmedar hoti hai, jahan par bahu ke bol karwe ho, jahan par bahu akhlaq se khali ho, wahan par shauhar aur saas ka rehna mushkil hota hai, wo apne shauhar ke kan bharti hai ki mujhe maa ye kahti hain, mujhe devar ne aisa kaha, bahen ne aisa kaha, to shauhar apne ghar walo par ghussa karta hai, wo ghar mein akar khud ko malkin samjhne lagti hai, har kisi ke upar hukum chalane ki sochti hai, har kisi se ye kahti phirti hai ki ye to mere shauhar ka hai, fala cheez mere shauhar ki hai, fala cheez mere shauhar ki hai, tumhara hai he kya, aise khatarnak jumlo se ek larki ko parhez karna chahiye, ye wo jumle hai jo bhai bhai mein larayi kara dete hain, bhai bahen mein larayi karwa dete hain, maa bete aur baap bete mein larayi karwa dete hain choonki ghar mein hukm Shauhar ka chalta hai isliye zyadatar mazloom larki he hoti hai aur ye kafi dekha bhi gaya hai.
Hamare to phir bhi walidain aur azeez-o-aqraba rishte dhoondte hain aur mashriqi tehzeeb mein rehte hain, jakar zara maghrib ki larkiyo ki khabar lo jo apne shauhar khud he talash karti hai 12 se 14 sal ki umar se jo shauhar talash karna shuru karti hai to 50 sal tak unhe koi shauhar dastyab nahi hota lekin boyfriend zaroor milte hain, itni umar mein na jane kitni gore baralti hain, na jane kitno ki ratein garm karti hain lekin izzate khatm ho jati hain, wo bazaru ban jati hain lekin unhe shauhar nahi milta aur agar milta bhi hai to 1 sal ke liye, 2 sal ke liye but on the basis of contract, ya ye likhne par ki agar kabhi dil na bhara to phir separation le lenge. Maghrib ki tahzeeb ki bat kare to bht kuch hai bolne ke liye lekin stats humein ye batate hai ki ane wale kuch salo mein Europe ke har dusre insan ko apne baap ka nam nahi pata hoga kyunki wahan par shadi ko ek bari bhari dikkat aur pareshani samjha jata hai aur aurat ko Izzat dena unka sha’ar nahi balki aurat ki izzat lene ko wo khud ki aur aurat ki azadi kahte hai aur yahi ghalazat wo hamare muashre mein bhi phailana chahte hain. 

Main apne tamam musalman bhaiyo, behno aur dosto se ye ghuzarish karta hun ki apne akhlaq ko us bulandi par le jaye ki ghar ki choti choti batein jinka koi wajood nahi us par dhyan he na jaye aur agar jaye bhi to use itni darghuzar kare, agar biwi se koi ghalti ho jaye to shauhar maf kar de, darghuzar kar de, agar shauhar se koi ghalti ho jaye to biwi maaf kar de ya darghuzar de, jab shauhar ko ghussa aye to biwi khamosh rahe aur samjhaye, jab biwi ko ghussa aye to shauhar ko use samjhana chahiye aur khamoshi ikhtiyar karni chahiye, choti choti baton mein pyar, muhabbat aur khushiya dhoondni chahiye, naki choti choti baton par larayi karni chahiye, agar khane mein namak kam ho to darghuzar kar de us par chillaye nahi, agar khana sahi na bana ho to us par ghussa na kare, khana kha le lekin baad mein samjha de, taki wo free mind hokar tumhare sath adjust karna seekh jaye, biwi ko bhi chahiye ki agar shauhar koi kam bhool jaye ya kuch bat karna bhool jaye to us par baten sunani na shuru kar de tanz karna na shuru kar de, pyar muhabbat se baith kar ek dusre ko samjhne ki koshish kare, agar is tarah se ache akhlaq se zindigi ghuzarenge to INSAHAALLAH apas mein muhabbat barhegi aur tamam umar ek pal ki tarah nikal jayegi. Lekin shart sirf ache akhlaq hain, agar ache akhlaq nahi to phir achi zindigi ka khayal dil se nikal de.

Aajkal ek bat bht sunne mein ati hai ki jab larke ya larki ki shadi hone wali hoti hai to wo Namaz parhne lagte hain, acha akhlaq dikhana shuru kar dete hain, tahzeeb aur tameez ka jhootha chola odh kar apne apko bahut acha dikhane ki koshish karte hain unse meri iltija hai ki jis tarah aap dikhane ki koshish karte hain hamesha ke liye aise he ho jaiye aur Namaz aur ache akhlaq hamesha ke liye pakar lijiye warna ye dikhawe ki namaze aur dikhawe ke akhlaq apki zindigi aur akhirat ko tabah wa barbad kar denge aur akhirat mein ye cheeze apke munh par mar di jayengi.
Kuch logo ko dekha hai ki shadi se pahle bahut achi tarah namazo ki pabandi karte they, DEEN ke aur bhi bahut sare kam anjam diya karte hain lekin shadi ke kuch din bad he namaze chhootne lagti hain, DEEN ke kamo se bachne lagte hain, aur agar koi dusra dawat de to kahte phirte hain ki tumahre upar zimmedari ho to tum jano, aur pata nahi kya kya… main unhe ye batana chahata hun ki wo eklote nahi hain jinki shadi hui hai, Ambiya A.S. ki bhi shadiya hui thi, Muhammad-e-Arabi SAWW ki bhi shadiya hui, Abu Bakr, Umar, Usman aur Ali R.A.A. ki bhi shadiya hui, iske bad tamam Sahaba R.A.A. ne bhi shadiya ki, Aimma Arba Rh.A.A. ne bhi shadiya ki, tabayi aur tabe tabayi jo log they unhone ne bhi shadiya ki, aur aajtak ke ulema aur mashayekh ko dekh lijiye shadiya karte hain, lekin DEEN se kabhi kisi ne compromise nahi kiya, kisi ne shadi aur biwi ko DEEN par amal na karne ki dhal nahi banaya, kat gaye, khoon de diya, jane de di lekin har zimmedari ke sath sath DEEN ki zimmedari ko bhi pura kiya.

Kuch khawateen ke bare mein sunne mein ata hai ki unhe Darhi nahi pasand hoti hai, isliye wo shauhar par zor dalti hain ki darhi choti karwa de ya clean shave karwa de, kapre modern pahne, to main pahli bat apne un bhaiyo se kahunga ki ALLAH ki ibadat aur Nabi SAWW ki Sunnat ko karne mein kisi bhi tarah se BIWI ki ijazat ki zaroorat nahi hai aur agar uske kahne par aise kam karwa le to ALLAH ki muhabbat aur Rasool SAWW ki muhabbat se bhi barh kar hogi jiski shariyat mein koi jagah nahi balki ye to beghairti ki alamat hai. Shariyat par amal karne ke liye kisi ko razi karna zaroori nahi hai. Namaz parhne ke liye kisi ki ijazat hona zaroori nahi hai, darhi rakhne mein kisi ki ijazat ki zaroorat nahi hai, Quran mein ALLAH ne farmaya ki Nabi SAWW ki muhabbat tum logo mein sabse zyada honi chahiye, agar aap apni biwi ke kahne par apni darhi ko chota karwayenge, aur apne izar ko takhno se niche karenge to biwi ki muhabbat, Nabi SAWW ki muhabbat se barh jayegi. Ab main apni un Behno se ye kahna chahta hun ki agar apka khawind DEEN mein barh charhkar hissa leta hai to use rokiye mat, balki use support kariye.
Apke rokne se use bhi gunah parega, aur aap khud sochiye ki aapka kya hoga, kya Nabi SAWW ki sunnat ko chehre se hatwa kar aap Nabi SAWW ke hath se Hauze Qausar ka pani le payengi? Kya aap apni shakal Nabi SAWW ko dikha payengi? Kya aap sunant se rokne ke ilzam mein ALLAH ki giraft mein nahi aa jayanegi? Maidan-e-Hashr ka wo manzar sochiye jab ALLAH kahenge ki tune mere Nabi SAWW ki darhi se itna bair rakha ki apne shauhar ke chehre se hatwa di? Kya jawab hoga aap ke pas?

ZINA KE AAM HONE KI ASAL WAJAH SHADI MEIN TAKHEER HAI…
Nabi SAWW ki hadees hai ki jiska mafhoom hai “TUM MUJHE 2 CHEEZO (ZUBAN AUR SHARMGAH) KI ZAMANAT DO MAIN TUMHE JANNAT KI ZAMANAT DETA HUN”. Waise to aaj ke mahaul mein zina jaisi ghaleez harkat ke aam hone ke beshumar wujuhat hain, ek wajah ye hai ki aajkal jo long term study ki planning chal rahi hai, ek wajah ye hai ki beshumar gandigi Television (Yahoodi) ke zariye jo gharo mein ghus rahi hai, Ek wajah mobile phone bhi hain, ek wajah larke aur larkiyo ka school, colleges aur university mein ek sath parhna bhi hai, ek sath coaching aur tution classes parhna bhi hain, aajkal jo dresses chal gaye hain ye bhi ek wajah hai aur in sabse barhkar ye ki Nikah bht zyada he der se hone lage hain, kyun ki har kisi ko angrezo aur yahoodiyo ne ek nara diya hua hai ki pehle parhayi kar lo shadi ke liye abhi bht umar pari hai aur isi nare ki wajah se aksar larke 30 cross kar jate hain jabki balooghat ghaliban 14 se 16 sal ke bad se he shuru ho jati hai, yahi hal larkiyo ke ziman mein bhi hai, maghribi tehzeeb aur tamaddun aur unke Ummat ko behkane wale nare KHAWATEEN KI AZADI ke nam par aaj maa baap larkiyo ko bhi 30 – 30 sal tak parhane ke liye baithaye rehte hain aur unki shadi nahi karte hain. aur jab umar nikal jati hai tab shadi karne ka hosh ata hai phir rishte samjh mein nahi atey ya to phir age mein difference bht zyada milta hai, ya koi shadi shuda milta hai lihaza yahi wajah banti hai ki larke aur larkiya bf gf banakar apni nafsani khwahishat ko najyaez tareeke se pura karte hain.
Yad rakhe wo walidain ki jo apne bacho ki shadi mein takheer karte hain aur is takheer ki wajah se agar inke bache aur bachiya kisi ghaleez harkat ko anjam dete hain to inhe bhi utna he gunah milega jitna inke bache aur bachiyo ko milega. Is mauzoo par bolne ke liye aur kehne ke liye bht kuch hai lekin bs isharatan maine chand batein pesh ki hain, aur tamam dost aur ahbab is mazmoon ko samjh gaye honge. Abhi kuch din pehle isi facebook par ek dost ne ek photo tag kiya tha jisme kuch larkiya hijab mein kisi park mein apne bf ke sath baithi hui thi lihaza meri un ahbab se ghuzarish hai ki is tarah ke photo upload na kare balki jo karne wala kam hai wo kare.
Nikah ko Asan kare aur ZINA ka kam tamam kare.

Ek ghuzarish jo dil se karna chahta hun ki aaj ke larke aur larkiyo se, wo ye ki, ab kayi shehro mein ye dekha ja raha hai ki wahan ki larkiya kuch ghair muslimo ke sath shadi kar rahi hain, iske waise to bahut sare reasons ho sakte hain lekin chand ek main yahan par zaroora batana chahunga ki Jab musalman ghair muslim larkiyo ke chakkar mein parenge to zahir si bat hai unki qaum wale bhi badle ke irade se hamari tumhari behno ke sath wahi karenge jo hum kar rahe hain, wo isse zyada karenge kyunki unke andar badle ka irada hota hai, abhi haal he kayi grups mein kayi shehro ke Notice of Intended Marriages registered ke kuch musalmano ne photo lekar unhe ummat se agah karaya ki dekho hamari behne ab ghair muslimo ka hath tham rahi hain un mein shayed he koi aisi bachti ho jiska Iman bach jata ho warna hamesha ki Jahannam apne nam kar leti hai, aur bahut si aisi bhi hoti hain jinhe wo ghair muslim larka shadi kar ke TAWAYEFO ke hath bech deta hai aise kayi program Crime Patrol mein dikhaye ja chuke hain… musalmano ko chahiye ki wo apne bacho ki shadiya jald az jald karaye taki is tarah ke iman farosh waqiyat na hone paye… musalman larko se bhi darkhwast hai ki ALLAH ke waste kisi Momin se shadi karo aur wo bhi sunnat ke mutabiq karne ki koshish karo aur jiski jaisi hasiyat ho lekin Israf se bacho ye khatarnak bimari hai jo deen se door karti hai.
Main apne tamam bhaiyo, behno aur dosto se ghuzarish karta hun ki apni apni shadiya sunnat ke mutabiq kare jisme kharch kam ho aur barkate zyada ho, Apni zindigi ka maqsad DEEN ki sar bulandi aur sarfarazi banaye, DEEN ke har shobe mein mehnat karne ki koshish kare, apne jayez aur halal kamayi ko jayez aur halal jagah he lagaye. Aur ek bat hamesha yad rakhe ki ek lafz hota hai sunnat aur ek lafz hota hai rasm agar kahin kisi jagah lafz rasm aa jaye to phir wo DEEN nahi hai balki logo ki apni garhi hui cheez hogi jise na karna he behtar hai kyunki sunnat ko chhorna gunah ka ba’is hai. Meri apne azeez aur aqraba se ghuzarish hai ki rishta lagane mein DEENDARI, SEERAT aur KIRDAR ko tarjeeh de aur Dahej mangne jaisi lanat ko darkinar kare, INSHAALLAH is tarah hum apne mu’ashre ko ek mukammal Islami mu’ashre bana payenge.

Anmol Nematon Par Shukr Karen!

Anmol Nematon Par Shukr Karen!

The Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever among you wakes up in the morning secured in his dwelling, healthy in his body, having his food for the day, then it is as if the world has been gathered for him."
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2346, 2346]
Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks is halat mein Subah kare ke 
✔ Apne aur Ahl Ayal ke hawale se pur Aman ho,
✔ Jismani Etebar se tandurust ho
✔ Aur us ke paas Aik din ki giza maojood ho
to goya us ke liye Dunya ki Tamam Nematen jama kardi gayin."
[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 227]

Rishton Naton Mein Judayi ki Ahem Wajah

Rishton Naton Mein Judayi ki Ahem Wajah

The Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Two people do not love each other in ALLAH Almighty or in Islam if the first wrong action that one of them does creates a split between them."
[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 22 :: Hadith 401]
Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jin 2 logon mein Baham ALLAH ke liye Mohabbat ho to un mein Judayi aur Tafreeq sirf us Gunah ki wajah se hoti hai jo Un mein se kisi aik se Sarzad ho gaya ho."
[Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 401]

10 Paron ki Tilawat Kar ke Soyyen!

10 Paron ki Tilawat Kar ke Soyyen!

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to his companions, "Is it difficult for any of you to recite one third of the Qur'an in one night?" This suggestion was difficult for them so they said, "Who among us has the power to do so, O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)?" Allah Apostle replied: " Allah (the) One, the Self-Sufficient Master Whom all creatures need.' (Surat Al-Ikhlas 112.1--to the End) is equal to one third of the Qur'an."
[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 534]
Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Apne Sahaba (RadiyAllahu Anhum) se Farmaya: "Kya tum se ye nahi ho sakta ke Tihayi Quran (yani 10 pare) har Raat padha karo." Sahaba ne Arz kiya: Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tihayi Quran har Raat parhna to bahot mushkil hai, ye kis se ho sakta hai, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qul huwallahu Ahad. Allahus Samad (Surah Al-Ikhlas) (ka parhna Ajr o Sawab mein) Aik Tihayi Quran (parhne ke barabar) hai."
[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5015]

Aap ne Kabhi Socha!!

Aap ne Kabhi Socha!!

● Facebook par Aap ke 5000 dost.....
● Twitter par 1000 Dost.....
● Whatsapp par 500 dost.....
● Daftar o Karobar mein hath batane wale 50dost.....
● Mushkil mein kaam aane wale 5 dost.....
"Lekin kabhi socha ke Qabr mein kaam Aane wala "Dost" kon sa hai?"
●◗► Qabr ke wahshat naak garhe mein kaam aane wala dost sirf aik hai jis ka naam "Naik Aa’mal" hai, lehaza jitna ho sake Naik Aa’mal kar ke apni Qabr ki wahshat aur Tanhayi door karne ki koshish karen.

Ahliya ke Sath Rawayya aur Bartao

Ahliya ke Sath Rawayya aur Bartao

Jab Aap Nikah kar ke kisi Larki ko apne Ghar laate hain to wo Aap ki khatir apne Maa, Baap aur Bhai ko chhor Aati hai.
Ab aap ka Farz banta hai ke aap apni Ahliya ko Maa, Baap, aur Bhaiyyon ki kami kabhi Mahsoos na hone den.
Aap ka hamesha Apni Ahliya ke sath bartao aur Mua’mla:
✔ Baap ki tarah Shafqat o Maherbani wala
✔ Maa ki tarah Hamdardi, Ghamgusari aur Afu darguzar wala
✔ Aur Bhai ki tarah narm khuyi, karam Nawazi aur Narm dili o bardasht wala Hona Chahiye.

Dunya ki Sab se Bari Doulat

Dunya ki Sab se Bari Doulat

'Abdullah bin `Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are four things, if you attain them, then whatever you miss in this world will not matter:
❶ Preserving trust, 
❷ Speaking the truth, 
❸ Being of good character and 
❹ Moderation in eating."
[Musnad Ahmad (2/177) 6652 :: Mustadrak al-Haakim (4/349) No. 7876]
Urdu Translation: Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "4 Chizen jab tumhen mil jayen to dunya ki kisi cheez ke na Milne par Afsos na karna:
❶ Amanat ki paasdari karna,
❷ Guftagu mein sach bolna,
❸ Husn Akhlaq,
❹ Halal o Pakizah Rozi."
[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 7876]

Astaghfar Azab se Hifazat ki Dhaal

Astaghfar Azab se Hifazat ki Dhaal

Hazrat Ali (Karam ALLAH Wajh) Irshad Farmate hain: "Ta’ajjub hai un logon par jo Najat ka sabab apne paas rakhne ke Bawajood bhi halak ho jayen." Pucha gaya: Wo sabab kya hai? Hazrat Ali (RadiyAllahu Anhu) ne jawab diya: "Toba o Astaghfar karna."
[Ihya ul Uloom ud Deen Al-Imam Al-Ghazali]

Adayegi Farz ke Baad Agle Farz ka Intezar

It was narrated that 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu said: "We performed the Maghrib (prayer) with the Messenger of ALLAH, then those who went back went back, and those who stayed, stayed. Then the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) came back in a hurry, out of breath, with his garment pulled up to his knees, and said:
'Be of good cheer, for your Lord has opened one of the gates of heaven and is boasting of you before the angels, saying: "Look at My slaves; they have fulfilled one obligatory duty and are awaiting another."
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 801]
✦Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu farmate hain ke ham ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Iqteda mein Namaz Magrib ada ki, kuch log Namaz parh kar lot gaye aur kuch log wahin rah gaye, Itne mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Tezi se chalte hue Tashreef laye (tezi se aane ki wajah se) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sans phool gayi aur Ghutnon se kapra hat gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:
"Khush ho jao ke Tumhare Rab ne Aasman ke darwazon mein se Aik darwazah khola hai aur wo Farishton ke samne tum par Fakhr kar rahe hain aur Farma rahe hain: "Mere bandon ko dekho! Wo Farz Namaz ada kar chuke hain aur Dusri Namaz ke intezar mein hain."
[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 801]

Gunahon Ki Kasrat Dunya Mein Zillat o Ruswayi ka Sabab

●◗► Gunah aur bilkhusus Aa’laniya (sab ke samne) Gunah karne se Insan ALLAH ki Nigah mein Zaleel aur Be’qadr ho jata hai, aur Jab koi Khaliqe Kainat ke han zaleel ho gaya to ab Makhlooq mein bhi us ki koi Izzat nahi rahti.
⇨ ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala irshad Farmate hain: "Aur jise ALLHA Zaleel karde, koi Nahi hai jo use Izzat de sake." (Qur’an 22:18)
⇨ "And whomsoever ALLAH disgraces, none can honour him." (Qur’an 22:18)

Copyright © 2011. Qur'an and Sunnah Our Way to Jannah - All Rights Reserved

Distributed By Free Blogger Templates | Lyrics | Songs.pk | Download Ringtones | HD Wallpapers For Mobile

Proudly powered by Blogger