Dewar aur Jeth to Mout Hain!

Dewar aur Jeth to Mout Hain!
ALLAH's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Beware of getting, into the houses and meeting women (in seclusion). A person from the Ansar said: ALLAH's Messenger, what about husband's brother, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Husband's brother is like death."
[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5400, 2172]
Urdu Translation: Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(Na Mahram) Aourton ke paas jane se bacho!” Aik Ansari sahabi farmane lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke bhaiyyon (dewar aur jeth wagerah) se Mutalliq Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya hukum hai? RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khawind ke bhai to Mout hain. (Yani in se pardah karne aur door rahne ka to bahot Zyadah Ehtemam karna chahiye)."
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5674]
●◗► Hadees baala o Digar Ahadees se wazeh hai ke dewar aur jeth se bhi pardah farz hai, Magar Aaj kal Mustarke khandani Nizam mein aourat ke liye ghar mein hamesha Naqab laga kar rakhna zaroori nahi balke Aourten aise gharon mein bari chadar wagera ka istemal karen taa ke Bawaqte zarurat ghoonghat kar ke chehra chupaya ja sake, isi tarah Ghar mein Na mahram mard o khawateen Nazren jhuka ke rakhen aur Aapas mein hansi Mazah aur be Takallufana guftagu se Ijtenab karen, Naiz Mard Hazrat ghar mein dakhil hote waqt ijazat len ya khankhar len ya pairon ki chaap aur Aahat ko zara buland karden taa ke ghar ki Masturaat ko aane ki ittela ho jaye, in Umoor ke Ehtemam se Mustarka khandani nizam mein bhi parde ke hukum ki baja Aawari ke sath sath gharelu kaam kaaj Ba’aasani sar Anjam diye ja skate hain.
Share this product :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. Qur'an and Sunnah Our Way to Jannah - All Rights Reserved

Distributed By Free Blogger Templates | Lyrics | Songs.pk | Download Ringtones | HD Wallpapers For Mobile

Proudly powered by Blogger