Mout ke Waqt Masoon Duayen
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhP8X7ND__pvaiAzZn3V5017bCJKrnyMQBUXdY2X4lyrt53_erEuBdL-m0FcjnedD8kh_HD2z2VS0CM0kbTix_xgaWSOT-hZgdi1j54wk7uf4VExnSuUxEE6y8qpUjgxLpsBKZi0TFmAFA/s72-c/12548841_960060384082173_500662535238973428_n.jpg
Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Dunya se Rihlat farmate hue is haal mein dekha ke aap ke paas pani ka aik Pyala rakha hua tha aur us Pyale mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apna hath dalte aur Chahrah Aqdas par malte aur phir farmate: "Aye ALLAH! Mout ki Sakhtiyon aur Takleefon par Meri Madad farma."
[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 966]
Aik dusri Riwayat mein Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (Marz al Wafat) mein mera sahara liye hue Irshad farma rahe the: "Aye ALLAH! Meri Maghfirat farma, Mujh par rahem farma aur mujhe Umdah o Aala rafiqon (Farishton aur Paighambaron) ke sath milade."
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5674]
●◗► Ham log jis tarah Gaflat ki zindagi guzar rahe hain is ka haal to ham sab ko khud Malom hai, km az km Mout ke waqt ki Darj bala Masnoon Duayen to sab ko yaad honi chahiyen, kyun ke kab kis par Mout ki Alamat aur Halate Naza’a tari ho jaye kuch pata nahi!!!
●═════════════════◄►════════════════●
Aishah RadiyAllahu Anha narrated: "I saw the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) while he was dying. He had a cup with water in it, he put his hand in the cup then wiped his face with the water, then said: 'O Allah! Help me with the throes of death and the agony of death.'"
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 978]
Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: I heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), who was resting against me, saying: "O ALLAH ! Excuse me and bestow Your Mercy on me and let me join with the highest companions (in Paradise)."
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 578, 5674]
Post a Comment